************************************************
Mehfil Me Jab Ham, Kuch Gumsum Se BaitheDosto Ne Bhi Poocha Ki Tujhe Kya Hua Hai
Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki Sunta
Kaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai
************************************************
Meri Mohabbat Ki Badi Chhoti Kahani Hai,Dil Toota Hua Aur Aankho Se Behta Paani Hai,
Kuch Bikhre Armaan Aur Beechada Saathi,
Dekh Mera Haal, Yaar Ka Aankhon Mein Aata Paani Hai,
Kabhi Samjhane Aaya Mera Yaar "Ke Bhool Ja Mujhe",
Laut Gaya Mayoos Jab Pucha, "Yeh Ashq Kiski Nishani Hai",
Log Kehte Hain Majnoo Tha Deewana Aur Laila Deewani Hai,
Puchta Hu Khuda Se Kyon Ishq Banaya, Kya Aashiqo Se Koi Dushmani Purani Hai…
************************************************
Hanste Hain Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log,Milte Hain Yunhi Mil Kar Juda Ho Jate Hein Log,
Pal Do Pal Ki Mohabbat Ko Umar Ka Saath Samjhna,
Mohabbat Bi Karte Hain Or Khafa Bhi Ho Jate Hain Log,
Naseeb Mein Pyar Na Tha Jo Mujhe Mila Hi Nahi,
Kr Ke Izhaar_E_Mohabbat Bhi Beparwaah Ho Jate Hain Log,
Ab Kis Say Shikwa Karen Apni Mohabbat Ka Aye "Dm"
Kar K Wafa Ka Vaada Bewafa Ho Jate Hain Log…
************************************************
Ashkoan Ki Barsaat De GayeeWo Jaate Jaate,
Aahon Ki Saughat De Gayee,
Wo Jaate Jaate,
Dil Ne Chaha Tha Bhar Lenge Use, Baahon Me,
Aarzuon Ki Bouchhar De Gayee,
Wo Jaate Jaate,
Badhaya Jo Khadam Maine Use, Chhune Ke Liye,
Raahon Me Kaantein Bikher Gayee
Wo Jaate Jaate,
Lada Tha Main Duniya Se Jiski Khatir,
Hami Par War Kar Gayee, Vo Jaate Jaate…
************************************************
Gujre Waqt Me Kisi Ke Pyaar Ki Kami,Kabhi Mehsoos Nahi Ke Humne,
Par Ab Ye Akelapan Sataane Laga Hai,
Kahi Akele He Na Gujar Jaye Zindage
Is Baat Se Daraane Laga Hai,
Kuch Armaan Humne Bhi Sajaye Hue Hai,
Dil Ke Kayi Raaz Chhupaye Hue Hai,
Mile To Kayi Lekin Bayaan Na Kar Paaye,
Aaj Us Nakami Ka Afsos Sataane Laga Hai,
Zindagi To Bahut Jee Hamne,
Par Ab Ye Akelapan Sataane Laga Hai…
************************************************
Ek Baar Mila Bhi Mauka Kisi Ki Chahat Ban-ne Ka,Lekin Hum Use Bhi Gawa Baithe,
Usne Khud Apne Pyaar Ka Izhaar Kiya,
Lekin Hum Uske Pyaar Ko Hi Nakaar Baithe,
Us Samay Pyaar Se Mahroom The,
Aaj Use Khone Ka Dard Dil Ko Rulane Laga Hai,
Zindagi To Khoob Jee Hamne,
Par Ab Ye Akelapan Satane Laga Hai…
************************************************
Ik Aansu Gira Mere Daaman Mein, Kuch Samajhe Na Hua Kya Tha,Jo Tum Mujhse Ab Pooch Rahe The, Wo Me Khud Se Poocha Karta Tha
Jab Ugte Din Ke Daaman Me, Wo Khusbu Mahaka Jaati Thi
Jab Subah Sambhale Anchal Wo Aage Se Gujar Kar Jati Thi
Fir Andhiyare Ki Chaadar Ko, Wo Raat Odh Kar Aati Thi
Uski Meethi Yaaden Dekar, Wo Mujhko Tadpa Jati Thi
Jab Saamne Mere Rahti Thi,,To Dil Ye Dhadkta Rahta Tha
Pyar Me Us Se Karta Hu, Ye Khud Se Kehta Rehta Tha
Fir Ik Din Aisa Aaya, Jab Wo Shehar Chhod Ke Chali Gyi
U Lagta Tha Maano Kismat, Ab Muh Mod Ke Chali Gayi
Par Samajh Me Tab Bhi Na Aaya, Kyu Aansu Gira Mere Daaman Mein
Ab Us Pal Hai Intezaar, Jab Aayegi Wo Saawan Mein….
************************************************
Bus Ab Tujhe Hi Chahne Ko Jee Chahta H,Teri Yaado Me Kho Jaane Ko Jee Chahta H,
Laga Di H Tumne Aisi Ishq Ki Aag,
K Usi Me Jal Jaane Ko Jee Chahta H,
Koi Bhi Kaam Me Ab Dil Lagta Nahi,
Bus Subah Shaam Tumhara Hi Intezaar Karne Ko Jee Chahta H,
Honge Na Hum Kabhi Tujh Se Juda,
Ab To Ye Kasam Khaane Ko Jee Chahta H…
************************************************
Kabhi Tere Deedar Ko TarsaKabhi Tere Pyar Ko Tarsa
Tu Mil Bhi Gaya Mujhe Phir Bhi Na Jane Kyo Main Karar Ko Tarsa
Patjhad Tha Bahar Aayi Sawan Ki Rimjhim Phuhar Aayi
Pa Bhi Liya Maine Tujhko Lekin
Phir Na Jane Kyo Tere Ikrar Ko Tarsa
Kushi Me, Gam Me Tu Sath H Mere
Janta Hu Koi Ho Ya Na Ho Tu Aas Pas H Mere
Phir Bhi Aisa Kyo Lagta H Ki
Main Teri Parchayi Se Bhi Mulakat To Tarsa…
************************************************
Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,
U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi Hai
Ghajab Ye Hai Ki 'Sehra' Bhi Khilne Laga Hai
Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar
Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai
Kahne Ko Sab Kuch Wahi Ka Wahi Hai
Par Mujhe Har Ik Zarra Naya Lagne Hai
0 comments:
Post a Comment