Sunday, 3 April 2016

Sad Shayri Page 83

Sad Shayri Page 83



************************************************


Har karz dosti ka ada karega kaun,
Jab hum hi nahi rahenge to dosti karega kaun.
Ay khuda mere dosto ko salamat rakhna,
Verna mere jeene ki dua karega kaun.

************************************************


Dil se tumhe kaise mita de,
Hum tumhe kaise bhoola de.
Ji to chahata hai duniya chor de,
Ya phir judai dene wale in duniya walo ko phod de.

************************************************


Ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye,
Subha hone ko hai mauhol banaye rakhiye,
Kaun jane wo kis gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhiye!

************************************************


Yeh mat pucho tum bin hum kya kya khote rahe,
Tumhari yaadon mein hum roz kitne rote rahe,
Na din gujre hai na raatein,
Bas kuch bechain se hum hote rahe!

************************************************


Dekha unhone hume jab apni tirchi nazron se
Hum to madhosh hi ho gaye,
Jab pata chala ke nazrein hi tirchi hai,
Hum to behosh hi ho gaye! :D

************************************************


Har nazar nazar mein ek kashish hoti hai,
Har dil mein ek chahat hti hai,
Mumkin nahi har ek ke liye TAJ MAHAL banana?..
Par har dil mein ek muumtaz jarur rehti hai!



************************************************


Na khuda dil banata na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!

************************************************


Log ishq karte hai bade shor ke saath,
Humne bhi kiya tha bade zor ke saath,
Magar ab karenge zaar gaur ke saath,
Kyunki kal dekha tha use kisi aur ke saath!

************************************************


Khuda kare in haseeno ke baap mar jaye,
Maut ka bahana ho aur hum inke ghar jaye.
Aisa mat keh aye zaalim,ye ek paap hoga,
Tu bhi ek din ek haseena ka baap hoga!

************************************************


Nazar se nazar milti hai,
Dil se dil milte hai,
Magar is duniya mein chanewale,
Badi mushkil se milte hai.

************************************************


0 comments:

Post a Comment