Meri maujudagi me wo puchhte hain mujhse kahan khoye huye ho tum aur maine kaha nazre uthakar ki jab tum hi yahan nahi ho to kya karenge yahan rehke hum
************************************************
Woh roj humse milte hain khayalon ke aashiyaano mein Woh roj humse bichhadte hain zindagi ki rahon mein Hum khwab to dekhte hain har ek pal mohabbat ke par tooot ke bikharte hain bus nafrat ki baahon mein
************************************************
Hothon pe unke siva koi naam nahi peeta hun jaam lekin iska koi kaam nahi hataun kaise aapko hamari yaadon se wafa hone ka anjam maine pehle kabhi paya nahi
************************************************
Khwaishe thi subha ho aapki ek hasi ke sath Dopeher ho aapki khushbu ke sath Sham aye aapki muskurahat ke sath Raat aye to aapki bahon ke sath ab jab aap hi nahi hai hamare sath to ji rahe hai hum maut ke sath
************************************************
Is bebas dil ki tanhai ko kaun jane kaun samjhe is dil ki fariyaad ko ab to intezaar hai us pal ka jab ye dhadkane chahe ruk jane ko
************************************************
Aansuon ki likhawat ko tum padh na sakoge Gile kagaz pe tum kuch likh na sakoge Yaad aayegi tumko hamari ye baatein Jab khokar tum hame paa na sakoge
************************************************
Itne Hasin Khwab Na Dikhao Mujhe Khwabo Ko Ek din Toot Jana Hai Mana Akhri Saans Tak To Main Sath Hu Lekin Sanso Ko Bhi To Ek Din Rooth Jana Hai
************************************************
Teri yaad me jara ankhe bhigo lu Udas raat ki tanhai me solu Akele gum ka bojh ab sambhlta nai Agar tu mil jaye to tujse lipat kar rolu
************************************************
Wafa Na Kar Pau To Naraz Mat Hona Dilse Utar Jau To Naraz Mat Hona Pyar Mera Saccha Hai Ek Din Dikhaunga Maut Mohlat Na De To Naraz Mat Hona
************************************************
Dil ki khamoshi ko majboori na samajhna Pyar nahi karta hai jaroori na samajhna Pyar ke liye ruh ka saath he kaafi hai Aur pyar badhta rahe iske liye jazbaat he kaafi hai
0 comments:
Post a Comment