Monday, 20 April 2015

Sad Shayri Page 12

Sad Shayari

************************************************

Dheere dheere ashko ne behna shuru kiya
Dheere dheere dil ne aapke bin rehna shuru kiya
Dheere dheere hume khushiyon se doori ka hua ehsaas
Dheere dheere ab thamne ko hai apni har saans


************************************************

Apni Zindagi Se Kuch Pal De De Mujhe,
Aaj Na Sahi Too Apna Kal De De Mujhe,
Khushi De Ya Na De Marzee Teri,
Apna Dukh Aur Dard Tu Chal De De Mujhe.


************************************************

Gale Laga Ki Jo Sunate The Dil Ki Aahon Ko
Taras Raha Hun Unhin Ki Hasin Bahon Ko
Qadam Qadam Pe Wo Aankhen Bicha Bicha Dena
Zarur Yaad To Hoga Tumhari Rahon Ko
Duhai Hai Teri Ae Rahazan Duhai Hai
Ki Aj Lut Liya Rahabar Ne Rahon Ko
Mile Na Phir Tere Daman Mein Daag Un Ki 'Shamim'
Sharab-E-Nab Se Dhoya Hai Jin Ki Aahon Ko.


************************************************

Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Ye Nazarana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Apne Gham Ko Geet Banake Ga Lena
Rag Purana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Tu Mujhko Aur Main Tujh Ko Samjahaun Kya
Dil Divana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Shahron Shahron Galiyon Jis Ka Charcha Hai
Wo Afsana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Maikhane Ki Bat Na Kar Waiz Mujh Se
Aana Jana Tera Bhi Hai Mera Bhi.


************************************************

Meri Vadi Mein Wo Ik Din Yun Hi Aa Nikali Thi
Rang Aur Nur Ka Bahata Hua Dhara Ban Kar
Mahafil-E-Shauq Mein Ik Dhum Macha Di Us Ne
Khalvat-E-Dil Mein Rahi Anjuman-ara Ban Kar


************************************************

Shola-E-Ishq Sar-E-Arsh Ko Jab Chune Laga
Ud Gai Wo Mere Sine Se Sharara Ban Kar
Aur Ab Mere Tasavvur Ka Ufaq Roshan Hai
Wo Chamakati Hai Jahan Gham Ka Sitara Ban Kar.


************************************************

Koi Kisi K Dard Me Shamil Nahi Hai,
Har Ada Husn K Kabil Nahi Hai,
Sab Kuch Luta Kar Samajh Meaaya,
Yeh Duniya Pyar K Kabil Nahi Hai




************************************************

Teri Wafao Mai Sanam
Na Watan Ke Rahe Na Saffer Ke Rahe
Bikhri Lash Ke Itne Tukde Hue
Na Kafan Ke Rahe Na Dafan Ke Rahe.


************************************************

Main Kyun Karoon Mohabbat Kisi Se,
Main To Ghareeb Hoon
Log Bikte Hain Aur
Kharidna Mere Bas Mein Nahi.




************************************************

Ab to baarisho me bhi unhe hamari yaad nahi aati...
jo kabhi badlo k garazne se he humse lipat jaya karte the.

************************************************

0 comments:

Post a Comment