This is default featured slide 1 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 2 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 3 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 4 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

This is default featured slide 5 title

Go to Blogger edit html and find these sentences.Now replace these sentences with your own descriptions.

Wednesday, 6 May 2015

Sad Shayari Page 16

Sad Shayari

************************************************

Tumhari yadon se koi nata nahi tha,
pr tumhe bhool jana hame aata nahi tha,
yun to umar gujri hai tumse pehle bhi tanha meri,
magar tab akelapan hame yun satata nahi tha...


************************************************

vo juda ho ke bhi meetha dard de rahe hai
dur reh reh ker fir se pass aane lage hai
fir se kyo voh kyon yad aa rahe hai
jin ko bhulane me hame jamane lage hai


************************************************

Tmhari zarurat ko pyar samaz bethe
Phli mulaqat ko shurwat samaz bethe
KonSi kasar chhoda tha hmne pyar me
Jo hmare dil koKhilona Samaz Baithe


************************************************

phoolo ke aanchal mai kuch kami si hai,
teri aankho mai kuch nami si h,
meri mohabbat ko thukra kar jane vale ye to bta de ki meri
"mohabbat mai kya kami h.


************************************************

Zindgi kitni haseen thi
jab na kisi se mahobat thi
aur na kisi se nafrat
Zindgi me ek din ajib modh aya
jab mahobat ek se huyi
aur nafrat dunyaa se


************************************************

Guzar jayege aapke pas se hawa bankar,
beh jayege ankho se aansu bankar,
aaj to aapke pas fursat nahi,
yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad bankar.




************************************************

Ankhe kyon hui meri num kabhi sochna,
kyon hua hum pe itna sitam kabhi sochna,
pyar to hum dono ne kiya tha,
lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.


************************************************

Tere liye khudko majboor kar liya,
zakhmo ko apne nasoor kar liya,
mere dil mein kya tha ye jaane bina
tune khudko humse kitna door liya.




************************************************

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
... Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay


************************************************

Monday, 4 May 2015

Sad Shayari Page 15

Sad Shayari

************************************************

MUJHE CHHOD TANHA TERE JANE KE CHARCHE HAIN
TERE MERE KYA SARE JAMANE KE CHARCHE HAIN
US CHARCHE KI KASAM AB AUR CHARCHE NAHI CHAHTA
PAR AB TERE WAPAS LAUT AANE KE CHARCHE HAIN


************************************************

Wo baat kya karu jiski khabar hi na ho
wo dua kya karu jisme asar hi na ho
Kaise keh du aap ko lag jaaye meri umar
kya pata agle pal meri umar hi na ho




************************************************

dard-e-dil kisi ko hum btaya nahe Karte
zakhm-e-dil kisi ko hum dikhaya nahi karte
Gila shikwa kisi se hum kiya nahe karte
Naam us ka hum liya nahe karte


************************************************

Jadon saath chadeya sadi parchayi ne
Tanhaian palle reh gayian
Bas fer tan sadi zindgi vich
Oh dera la ke beh gayian
Tu jis pal sathon vichdi si
Oh ghadiyan chete reh gayian
Tere ton pichhon ni adiye
Dardan naal sanjhan pai gayian


************************************************

Ansuo ki likhawat ko padh na sakoge,
Gile Kagaz pe kuch likh na sakoge,
Yaad aayegi tumko hamari baate,
Khokar jab tum hume pa na sakoge.




************************************************

Pathar Bana Diya Mujahy Rone Nahi Diya,
Daaman Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Diya..!!
Tanhaiyan Tumhara Pata Poochhti Rahien,
Shab Bhar Tumhari Yaad Ne Sone Nahi Diya..!!
Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar,
Palkon Pe Koi Khoawab Peerone Nahi Diya..!!


************************************************

Baki nahi alfaz baya karne ko meri mohhabat ke dasta,
Ho sake to tu hi ab kuch yaki karle,
Ess daur mai ab tah umar sochne ke jajba nahi hota hai kahi,
Hum to akhri lamhe mai bhi tere naam ko sath liye jane ka jaaba rakte hai.


************************************************

Itbar wo kaise kare jinhe khud hi
khud ki kismat pe etbar nahi,
pyar vo kaise kare jinke hisse mein pyar hai hi nahi


************************************************

tum na aao to bechain rehta hai dil mera
dekh ker tumko chain khota hai dil mera
kese aayega mere dil ko karar pata nahi
ki teri yad me pal pal dil rota hai mera


************************************************

Umeed ka daman chod to diya hamne,
apne hathon se apna Dil tod to liya hamne,
Jane kahan se le aati hai uski yaad in ankhon me pani?
katra katra ansuon ka in ankhon se nichod to liya hamne....

************************************************

Saturday, 2 May 2015

Sad Shayari Page 14

Sad Shayari

************************************************

Jisne Kabhi Chahto Ka Paigam Likha Tha,
Usne Apna Sab Kuch Mere Nam Likha Tha,
Aj Use Mere Jikra Se Nafrat Hai,
Jisne Kabhi Hatheli Par Mera Nam Likha Tha..




************************************************

Seene Se Laga Loon To,
Lag Jati Hai Seene Se,
Tum Se To Kahi Achi Tasveer Hai Tumhari.
Na Dga De Ye Na Kare Gdari,
Hume Jaan Se Pyari Hai Tasveer Tumhari.


************************************************

Dard jitna hai meri nigahon me,
na de khuda kisiki raho me,
bitana chahte they zindagi jinki bahon me
Shayad maut bhi na mil payegi unki panaho me…


************************************************

Tum dil se hamein yon pukara na karo,
Yon tum hamein ishara na karo,
Door hain tumse ye majburi hai hamari,
Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo…


************************************************

Apne Hothon Par Saja Kar Tujhe Main
Tere Hi Geet Gana Chahta Hoon
Jal Kar Bujh Jana Humari Kismat Sahi
Bas Ek Baar Roshan Hona Chahta Hoon…


************************************************

Banane Wale Ne Bhi Tujhe,
Kisi Karan Se Banaya Hoga,
Choda Hoga Jab Zameen Par Tujhe,
Uske Seene Mein Bhi Dard To AayaHoga…


************************************************

Koi gham nahi magar dil udas hai,
Tujh se koi rishta nahi phir bhi ek aas hai,
Kehne ko bohut apnay magar tu ek khas hai,
Zyada emotional na honauper sub bakwa hai:D


************************************************

Zindgi khubsurat hai par mujhe jina nhi aata,
Har chiz me nasha hai par mujhe pina nhi aata,
Sab mere bina ji shakte hai,
Sirf mujhe hi kisike bina jina nahi aata.


************************************************

Kuch Umr Ki
PehLi ManziL Thi
Kuch Rastay Thy
Anjaan Bohat,
Kuch Hum Bhi
PagaL Thy Lekin
Kuch Wo Bhi Thy
Naadan Bohat,
Kuch Us ne Bhi
Na Samjhaya,
Ye pyar Nahi
Aasaan Bohat,
Akhir Hum ne Bhi KhaiL Liya,
Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bhoat.
Jab bikhar gaye tab ye jaana,
aaty hyn yahan
toofan Bohat,
ab koi nahi
jo apna ho,
milny ko to hyn
insaan Bohat,
A "kaash" wo
wapas aa jaye,
ye dil hy ab
sunsaan Bohat.

************************************************

Monday, 20 April 2015

Sad Shayri Page 13

Sad Shayari

************************************************

Duniya To Hai Kaanton Ka Bichona Pyaare
Tum Hum Se Kabhi Hona Na Judaa Pyaare
Aao Mil Kar Dukh Ke Lamhe Kaaten
Ik Jashn Hai Sath Sath Rona Pyaare




************************************************

Rota Hun To Ahbaab Bura Maante Hain
Hansta Hun To Mujrim Mujhe GardanteHain
Har Haal Mai Aetiraaz Karne Waale
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain…


************************************************

`
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai..


************************************************

Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai,
Nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai,
Tere bina zindagi mein kami toh nahi,
Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai


************************************************

Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka letehain.




************************************************

Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha
Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kiyon tha
Apni chahat ka yaqin dilaya kiyon tha
hooti manzil ka neshan banaya kiyon tha


************************************************

दर्द जितना है मेरी निगाहों मे , .
Na de khuda kisi ki raho me , .
बिताना चाहते थे जिंदगी जिनकी बांहों म ,
Shayad maut bhi na mil payegi unki panaaho me ...


************************************************

Kitni Shiddat Se Chaha Tha Meine Usko.
Agar Koi Dushman B Hota
Toh Sath Hota Umar Bhar.


************************************************

Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat B Na Milegi
Hamare Jaisi Tumko Chaht B Na Milegi.
Yu Itni Berukhi Na Dikhlaiye,
Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat B Na Milegi.


************************************************

Ungliyaan??
Meri Wafa Par
Na Uthana Logo..!
JisSs Ko Shak Ho??
Wo Kabi Mujh Se,
Nibaah Kar Dekhy.!

************************************************

Sad Shayri Page 12

Sad Shayari

************************************************

Dheere dheere ashko ne behna shuru kiya
Dheere dheere dil ne aapke bin rehna shuru kiya
Dheere dheere hume khushiyon se doori ka hua ehsaas
Dheere dheere ab thamne ko hai apni har saans


************************************************

Apni Zindagi Se Kuch Pal De De Mujhe,
Aaj Na Sahi Too Apna Kal De De Mujhe,
Khushi De Ya Na De Marzee Teri,
Apna Dukh Aur Dard Tu Chal De De Mujhe.


************************************************

Gale Laga Ki Jo Sunate The Dil Ki Aahon Ko
Taras Raha Hun Unhin Ki Hasin Bahon Ko
Qadam Qadam Pe Wo Aankhen Bicha Bicha Dena
Zarur Yaad To Hoga Tumhari Rahon Ko
Duhai Hai Teri Ae Rahazan Duhai Hai
Ki Aj Lut Liya Rahabar Ne Rahon Ko
Mile Na Phir Tere Daman Mein Daag Un Ki 'Shamim'
Sharab-E-Nab Se Dhoya Hai Jin Ki Aahon Ko.


************************************************

Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Ye Nazarana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Apne Gham Ko Geet Banake Ga Lena
Rag Purana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Tu Mujhko Aur Main Tujh Ko Samjahaun Kya
Dil Divana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Shahron Shahron Galiyon Jis Ka Charcha Hai
Wo Afsana Tera Bhi Hai Mera Bhi
Maikhane Ki Bat Na Kar Waiz Mujh Se
Aana Jana Tera Bhi Hai Mera Bhi.


************************************************

Meri Vadi Mein Wo Ik Din Yun Hi Aa Nikali Thi
Rang Aur Nur Ka Bahata Hua Dhara Ban Kar
Mahafil-E-Shauq Mein Ik Dhum Macha Di Us Ne
Khalvat-E-Dil Mein Rahi Anjuman-ara Ban Kar


************************************************

Shola-E-Ishq Sar-E-Arsh Ko Jab Chune Laga
Ud Gai Wo Mere Sine Se Sharara Ban Kar
Aur Ab Mere Tasavvur Ka Ufaq Roshan Hai
Wo Chamakati Hai Jahan Gham Ka Sitara Ban Kar.


************************************************

Koi Kisi K Dard Me Shamil Nahi Hai,
Har Ada Husn K Kabil Nahi Hai,
Sab Kuch Luta Kar Samajh Meaaya,
Yeh Duniya Pyar K Kabil Nahi Hai




************************************************

Teri Wafao Mai Sanam
Na Watan Ke Rahe Na Saffer Ke Rahe
Bikhri Lash Ke Itne Tukde Hue
Na Kafan Ke Rahe Na Dafan Ke Rahe.


************************************************

Main Kyun Karoon Mohabbat Kisi Se,
Main To Ghareeb Hoon
Log Bikte Hain Aur
Kharidna Mere Bas Mein Nahi.




************************************************

Ab to baarisho me bhi unhe hamari yaad nahi aati...
jo kabhi badlo k garazne se he humse lipat jaya karte the.

************************************************

Sad Shayri Page 11

Sad Shayari

************************************************

Meri maujudagi me wo puchhte hain mujhse kahan khoye huye ho tum
aur maine kaha nazre uthakar
ki jab tum hi yahan nahi ho
to kya karenge yahan rehke hum




************************************************

Woh roj humse milte hain khayalon ke aashiyaano mein
Woh roj humse bichhadte hain zindagi ki rahon mein
Hum khwab to dekhte hain har ek pal mohabbat ke
par tooot ke bikharte hain bus nafrat ki baahon mein


************************************************

Hothon pe unke siva koi naam nahi
peeta hun jaam lekin iska koi kaam nahi
hataun kaise aapko hamari yaadon se
wafa hone ka anjam maine pehle kabhi paya nahi




************************************************

Khwaishe thi subha ho aapki ek hasi ke sath
Dopeher ho aapki khushbu ke sath
Sham aye aapki muskurahat ke sath
Raat aye to aapki bahon ke sath
ab jab aap hi nahi hai hamare sath
to ji rahe hai hum maut ke sath


************************************************

Is bebas dil ki tanhai ko kaun jane
kaun samjhe is dil ki fariyaad ko
ab to intezaar hai us pal ka
jab ye dhadkane chahe ruk jane ko


************************************************

Aansuon ki likhawat ko tum padh na sakoge
Gile kagaz pe tum kuch likh na sakoge
Yaad aayegi tumko hamari ye baatein
Jab khokar tum hame paa na sakoge




************************************************

Itne Hasin Khwab Na Dikhao Mujhe
Khwabo Ko Ek din Toot Jana Hai
Mana Akhri Saans Tak To Main Sath Hu
Lekin Sanso Ko Bhi To Ek Din Rooth Jana Hai


************************************************

Teri yaad me jara ankhe bhigo lu
Udas raat ki tanhai me solu
Akele gum ka bojh ab sambhlta nai
Agar tu mil jaye to tujse lipat kar rolu


************************************************

Wafa Na Kar Pau To Naraz Mat Hona
Dilse Utar Jau To Naraz Mat Hona
Pyar Mera Saccha Hai Ek Din Dikhaunga
Maut Mohlat Na De To Naraz Mat Hona


************************************************

Dil ki khamoshi ko majboori na samajhna
Pyar nahi karta hai jaroori na samajhna
Pyar ke liye ruh ka saath he kaafi hai
Aur pyar badhta rahe iske liye jazbaat he kaafi hai


************************************************

Sad Shayari Page 10

Sad Shayari :: Love - Romantic :: gurmeetmann


Math rakhna phool meri kabar par
marne ke baad bhi mujhe ye dard dete hai
unko thi phoolo se itni mohabbat
ke wo hame kanto se guzarne ko kaha karte the
unki muskaan me hum lahoo se rang jate
Dard ko hum apne daman me chupa lete
waqt badalne ke sath na muskaan rahi na pyar
chand phoolo ke sath thukra gayi wo mera pyar


************************************************

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde
Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khushi Ab Toh Muqadar Karde
Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kam Karde
Jitna Door Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe Fanaa Karde


************************************************

Tainu Apna Humdard Pyara
Sanu Tera Dard Pyara
Tainu Tere Dostan Da Sahara
Sanu Tere Ghumaan Da Sahara
Dekhde Hain Taqdir Ki Lekh Likhdi Ae?
Ik Bedard Dil Te Ik Dardaan Da Maraaa


************************************************

Har Zakham Dil Te Mere Usda Hi Karzdar Reha
Har Gham Da Bus Main Hi Haqdar Reha
Fir V Yaad Teri Da Viaaj Is Dil Te Bar Bar Peya


************************************************

Aansoon Ko Aankhon Ki Dehleez Par Laya Na Karo
Apne Dil Ki Haalat Kisi Ko Bataaya Na Karo
Log Mutthi Bhar Namak Liye Ghooma Karte Hain
Apne Zakham Kisi Ko Dikhaaya Na Karo


************************************************

KEH CHUKE THE WO HAMSE APNE DIL KI BAAT
KARNA CHAHTE THE BAYAAN HAM APNA DIL-E-HALAT
CHALE GAYE WO OR BAND HUI MULAKAT
JANE KAISE KAB MILE WO CHHOOT GAYA JO SATH


************************************************

Har zakhm dil te mere usda hi karazdar reha
Har gum da bas mai hi hakdaar reha
Hanjuan ch ada kiti hai wafa di rakam
fir vi yaad teri da vyaaj is dil te bar bar peya


************************************************

Benaam musafir hoon benaam safar mera
kis rah nikal jaun kuch kah nahi sakta
Mil jayegi tahbeer mere khawaboon ki ek din
Ya khawab bikhar jayen kuch keh nahi sakta


************************************************

uski mohabbat se hum yun khafa na hote
pyar bhare dil ko yun saja na dete
usne bewafai ka kya sila dia hume
ki rote huye is dil ko abhi tak mana na sake


************************************************

Pyaar me hai dhoke hazaar
isliye na karna kabhi kisi se pyaar
agar karoge kabhi kisi se pyaar
to milenge bas dhoke hazaar