Saturday, 20 June 2015
Sad Shayari Page 23
************************************************
Tay karna tha ek lamba safar par koi hamsafar nahi tha; Mujhpe aate jate mausamo ka koi asar nahu tha; Kya khub mili thi unse meri najar kisi roj; Ab na mile wo ek pal bhi to hamko sabar nahi tha.************************************************
kya khub kaha tha galib ne ishq ek aag ka dariya hai; Jaana hai rahi ko us paar jahan basi uski duniya hai; Sochta hai rahi doob ke jau ya tair ke jau us par; Ab lautne ka na waqt hai aur na hi bacha koi jariya hai.************************************************
Haara hun main mohabbat ki har baji har imtihaan ko; Kyun nahi milti kamyabi is sansar me dil ki juban ko; Mujhe shikayat nahi hai gairon se kabhi ; Jab apno ne hi diya hai mera naam har iljaam ko.************************************************
Ek hasrat thi ki unke dil mein panah milegi; Kya pata tha unse mohabbat ki saja milegi; Na apno ne samjha na giaron ne jaana; Kya pata tha meri taqdir hi mujhe bevafa milegi.************************************************
unse judai ka ek lafz mujhe shool sa lagta hai; Unke bina sab kuch mujhe dhool sa lagta hai; Kaise batayen unhe ki kitni mohabbat hai unse hame; Unki chahat ke siva mujhe sab fijool sa lagta hai.************************************************
Is zindagi ko jeene ki aarzoo, Bin tere hai adhuri, Tera sath jo mil jaye, Meri zindagi ho jaye puri…************************************************
Raahoan mein chalte chalte thokar khayi hai humne, zindagi ko sawarte sawarte dhoka khaya hai humne.. waqt ek aisa bhi tha jab ajnabi bhi apne lagte the, aaj apno ko ajnabi banaya hai humne.************************************************
Yeh zindagi hame kuch nahi deti, sivaye gam our aansu ke, behte he ham kismat ke dariya main, har kisi ko pyar naseeb nahi hote.************************************************
Kaash tu meri jindagi me aayi nahi hoti, Ye chand ye taare ye khudai nahi hoti, Mei tumhe haden tod kar pyar krta, Agar tu mujh se prayi na hoti.************************************************
Aansuoo ka bin maine, ab jeena seekh liya, Ab maina ye jana, kise kahu apna. Hai koi yaha jo mujh se keh gya, ke kaha tu rhe gayi, Zindagi toh hai jaise Kaarwan tu hai, Tanha kab yha, Sabhi toh hai, sabhi toh hai yaha. Der lagi lekin , maina ab hai jeena seekh liya, Aansuoo ka bin maina, ab jeena seekh liya.************************************************
Friday, 19 June 2015
Sad Shayari Page 22
************************************************
kashitiya to bahut aai gayi, sahil bhi kahan door tha par humko to tha shauk-e-samandar aur doobna manzoor tha.************************************************
Hami ko katl hona tha banane tajruba shayad, hami ne mitiyo ke daam me kankar kharide hai, Kharide hai jis keemat pe Heere tumne jahawalo, Usi keemat pe maine raah ke pathar kharide hai.************************************************
Ae khuda, kyun tune mujeh meri jaan se kiya juda Kiya tha ek haseena se pyar, woh bhi tune cheen lia Loot gaya, main barbaad ho gaya, kahin ka na raha Sach bata, kya jholi ujaadne ko tujhe aur koi nai mila? Ae khuda sun le tu Ailaan main aaj karta hu Dekhna ekdin main aaunga tere ghar dastak dene Ura le jaunga teri Menka aur Apsara ko churake.************************************************
Main aur meri tanhayee, baithe hai hum do bhai Le ke haath mein ek kadak adrak-pyali chai Cha raha hai dil aur dimaag pe ab bus unhi ka khayal Than-thana raha hai yeh haath, jaise kar diya kisi ne isse ghayal.************************************************
Apne Mukaddar Ka Ye Sila Bhi Kya Kum Hai, Ek Khushi Ke Piche Chupe Hazaro Gum Hai Chehre Pe Liye Phirate Hai Muskurahat Phir Bhi Aur Log Kehate Hai, Kitne Khushnaseeb Hum Hai************************************************
Mujhe yaad hai voh din hamari aakhri mulakat ka, tune bulaya tha mujhe uss raat ko, kahe gayi tu mujhe bhool jao mein tujhe. par kya mein kabhi tujhe bhool paonga? abhi to swarg main hi mulakat hogi agar mein nark mein nahi jaonga!! Mera wo nazar hai aap se, kabhi nahi hathi Mera wo saya hai, apka peecha nahi chodthi Mera wo pyar hai apse, kisi aur ke saat bant nahi sakti, Agar shak ho tho puchlo hamare dhadkan se WO SIRF ZINDA HAI TUMARA NAAM SE.************************************************
Na tuje pane ki tamana hai, Na hi tuje Chune Ki. Tamana to hai ki sirf tume dekhne ki… Are ye pyar hai.. Es me sirf dene ki tamana hai na kuck lene ki..************************************************
kabhi yaroo ki mehfil me bait ke hum bhi piya karte the Kabh yaroo ke yaar ban ke hum bi jiya karte the Zindagi ne ki bewafi ,warna hum bhi zingadi se pyar kiya karte the.************************************************
tum par hai fida, varna husn par mar mitna hamara kaam nahi, tujh ko na pigla doon aye pathar dil sanam, To ##### mera naam nahi.************************************************
rota hai dil mera teri yaadon ko yaad karke, askhon ka sailab aa jata hai un baharon ko yaad karke, hamesha taro taza rahte hai wo paljo gujre the apki muskaan ke afsano mein, lekin ab lage ek pal saari zindagi, teri namaujudgi ke saye mein.************************************************
Sad Shayari Page 21
************************************************
gum mila to ro na ske khushi mili to hans na ske zindgi ka hi khwab tha jise chaha use pa na ske************************************************
ye aankhe usi rat ho jaye andhi jo dekhe tere siwa sapna kisika jis din bhula dun tera pyar DIL se wo din aakhri ho meri jindgi ka************************************************
Wo dil hi kya jo apse milne ki duva na kare hum apko bhulkar zinda rahen aisa khuda na kare apki mohabbat rahegi is dil me sanse bankar ye baat or hai ki zindagi hi wafa na kare ……..************************************************
Main jalkar bhi use roshni deta raha isliye wo mujhe jalati rahi mere jalne ko usne kabhi nahi dekha bus mere jalne ki roshni par wo muskurati rahi……..************************************************
Yaadon ki kimat wo kya jane jo khud hi yaadon ko mita diya karte hain yadoon ki kimat to unse pucho jo yaadon ke sahare zindagi bita diya karte hai************************************************
Dard ko zakam ne seencha hai, Humko unki mohabbat ne roka hai, chal diye thae char kandho par, Par kambaqt unki bebasi ne roka hai, Alvida keh gaye wo hame apne humsafar k sath, Rok kar raka tha hame jane yumraj k sath, Toot gaya hai dil mera jb sath unhone mera chora, aaale na jaye koyi aur dil mera isi liye maine ab yeh duniya chora…..************************************************
Bohat Hee Khobsurat Nazm Ka Aghaz Kerte Hain Yeh Larke Kion Apna Waqt Berbaad Kerte Hain Zara Samjha Kero Hum Ko, Zara Alfaaz Wapis Lo Kay Sharif Zaadey Kahan, Kab, Aisi Baat Kartay Hain Kissi Se ?Luv U? Kehte Hain Kissi Se ?Hug U? Kehte Hain Yeh Jo Aap Kerte Hain Who Kia Khak Kerte Hain?? Mobile De Ke Larkion Ko Inspire Kerte Hain Maa Baap Ke Paisoon Ka Khana Kharab Kerte Hain Bohat Pur-Josh Rehte Hain Bohat Si Baatein Kerte Hain Mager Matlub Ki Baatoon Ko Huns Ke Taala Kerte Hain Deen Ki Baatoon Ko Khud Pe Na Kabhi Sawar Kartay Hain Aur Kuch Mane Ya Na Mane Girlfriends Hamesha Chaar Rakhtay Hain Nahin Ager Aap Ki Niyat Mein Koi Futoor Tow Larkion Ke Face Mein Kia Talaash Kerte Hain??? Kahain Tu Hard Disk Bhar Doon Inn Pe Likh Ker Chalein Chorein Aaj Hum Inn Ko Maaf Kerte Hain?..************************************************
Jholi Failaake Maanga Tha Khuda Se Unhe, Par Khuda Ne Meri Fariyaad Ko Suna Hi Nahi, Jab Poochi Khuda Se Iski Wajah, Khuda Ne Kaha, Kyun Chaahte Ho Usey Jo Tere Liye Bana Hi Nahi..?************************************************
Ruthe hue meet tujhe manau kaise, Bigdi hui hai takdeer banau kaise, Dil ke har kone mai naam hai tera, ye Dil cheer ke tujhe dikhau kaise.************************************************
Har raah mai tera saath chahta hu, Har mod pe tera saath chahta hu, Aaj tu meri chahat hai , kal, mai tera chahat banu, aise halaat chahta hun . Khol do muh mera kafan se , hame muskurane ki aadat hai, janaaza jara rok ke chalo , hame unke aane ki umeed hai.************************************************
Motivation Poetary 4 Life Page 2
************************************************
Toofan mein gam ke hum hanskar ke dikha denge Wo shamma hain paani mein bhee jalkar ke dikha denge Mohataaz nahi ulfat tere pyar ke jaamo par Ta-umr tera gussa peekar ke dikha denge************************************************
Darbaar kya hum dar pe bhee jee sakate hain tu de jo to fir zakhm bhee see sakate hain Muddat se hain pyase karo kuchh to karam tum hum to tere gusse ko bhee pee sakate hain************************************************
Unke deewano mein ginati jo na aa jaye to fir kahana Banda jeevan ka juaa haar jo jaye to fir kahana Main jo mitane ko chali hoon mujhe mitane de jahaa'n ab Mera maalik wo mujhe khud na bachaaye to kir kahana************************************************
Sari Umar zindagi se door rahe Teri khushi ke liye tujhse door rahe Isse badhkar to wafa ki saja kya hogi Ke tere hokar bhi tujse door rahe************************************************
Na Kisi Mukaam Ki Tammna Ab Na Kisi Theekane Ki Talash Jo Gham Zindagi Ko Maut De De Ek Aise Bahane Ki Talash Na Kisi Apne Ki Aarzoo Ab Na Kisi Begaane Ki Talash Main To Phool Hoon Tanhayion Ka Mujhe Bas Virane Ki Talash Jahan Door Tak Koi Na Ho Jahan Hawa Ka Pata Na Ho Mujhe Door Duniya Se Aise Hi Aashiyane Ki Talash Jo Tod De Dil Se Dhadkane Jo Chheen Le Jism Se Jaan Ko Jo Sanson Ko Meri Rok De Ab Aise Bahane Ki Talash************************************************
Raat ke tukdo pe palna chod de shama ko kah de ki jalna chhod de mushkile to har husn ka irada hai kaise koi raha chalna chhod de************************************************
Tamanna karne se hi puri hoti hai har tamanna Dil dhadakne se hi pura hota hai har sapna Koshish karne se har rah aasan ho jati hai Aur aage badne se har manzil mil jati hai************************************************
Jis cheez pe tu hath rakhe wo cheez teri ho Aur jis se tu pyar kare woh takdeer meri ho************************************************
ishq yadi karna hi hai to maalik se karo pyaar karna hai to maalik se karo ki ye jahaan muhhabat ke kabil nahi wafa ke kabil nahi yahan aate hai hazaro dastan-e-ishq lekar aur jaate hai maalik ki pannah me aansuon ki fariyaad lekar************************************************
Me Chalta Raha Is Tanha Safar Me Aate Rahe gum Ke Tufaan Is Dagar Me Fir Bhi Na Dagmagaya Main Is Safar Me Aur Yuhi Chalta Raha Main Is Tanha Safar Me************************************************
Friday, 12 June 2015
Motivation Poetary 4 Life Page 1
************************************************
Sawaar ho jaaye jab junoon sar par ki kuch paanaa hai reh jaayega phir kya duniyaa mein jo haath nahi aanaa hai************************************************
Zanzeerein mushkilon ki pighal jaayengi bas aag iraadon ki jalne deeje Taare zameen par aa ke haath milaayenge khayaalon ki udaan ko bas zameen deeje Chiraag inn raahon ke manzil tak le jaayenge ik ik kar har kaanta jo alag kije Suraj bhi din tera ik din chamkaayega chaand ka aaj andhere mein mazza lije************************************************
Waqt par, waqt hi badlega ye tera bura waqt jo gar samjhe,to na raha hai na rahega sada ye bura waqt************************************************
Saath bitaaye inn lamhon ki yaad bahut aayegi tanhaayi ke phir har pal mein ik tasveer ubhar aayegi khayaalon mein mere tufaan hoga bichadta hua woh jahaan hoga phir bhi kahin andheron mein ik kiran si dikh jayegi himmat haarna to gunaah hoga jo ruk gaya woh fana hoga chalte chalte phir in rahon par manzil khud hi saamne aayegi************************************************
Dil ki umangon ke pankh lagakar khule akash me udna chahti hu Lehron ki sawaari kar sahil ko apna banana chahti hu Aey Khuda! Himmat de mujhe ladne ki itna aasan nahi mera safar kyoki Mai patthar ko mom aur mom ko patthar banana chahti hu************************************************
Mehnat, lagan aur himmat se apni Har mushkil se paar pana hai Sitaaron ki zamin banana hai ek din Mera khwabon me bahut bada aashiyana hai************************************************
Kuch Lafzon Ko Tol-Mol Kar Bataaya Nahi Jaata Har Ek Ko Apne Dil Ka Haal Sunaya Nahi Jaata Hum Jo Likhte Hai Woh Humare Jazbaat Hai Auron Ke Liye Isse Kahani Ka Roop Banaya Nahi Jaata************************************************
Jao us raste pe, jispe khai na ho Jao us raste pe, jispe khai na ho Aur pyar karo to aisi ladki se jiska koi bhai na ho************************************************
Ai Khuda tu meri aakhri dua to sunle is dard ko apna bana ke to dekh le tujhe pata chalega Insan ke dil me kitna hai dard bas tu ek bar Insan ban ke dekh le************************************************
Jab dard puraana hota hai Khud aap davaa ban jaata hai Vyavahaar paraaya bhee unka Fir ek adaa ban jaata hai Na ghabaraa dil tanhaai se Na sitam se na rusawaai se Are mitate-mitate to banda Ek roz Khuda ban jaata hai************************************************
Monday, 1 June 2015
Sad Shayari Page 20
************************************************
nikalte hain jab tumhare aansu dil karta hai saari duniya jalla du phir sochti hu ,honge tumhare bi apne kahi tumhe phirse rula na du……….************************************************
Har umar ka rasta humwar nahi hota har saaya madadgar nahi hota majbooriya ho to aur baat hai warna janam se koi gunahgar nahi hota************************************************
Har hawa ka jhoka toofan nahi hota har aadmi insaan nahi hota pathar to har mod pe milta hai lekin har pathar bhagwan nahi hota.************************************************
Dosti humari aap kbhi bhulana nahi, Humse kabhi bhi apna koi gam chupana nahi, Har waqt hume apne paas payoge, Yaado ka deepak kabhi bhujana nhi, Ladenge, jagdenge apko rulayenge bhi, roothoge to apko manayenge bhi, udaas rahoge to apko hasayenge bhi, kuch bhi ho lakin ye dosti ka rishta kabi thukrana nahi.************************************************
mast riwajo pe sakht pehra n jane dil konsi umid pe thahra aankhon se chalakte hue asko ki kasam gum ka rista dil me bahut he gahara.************************************************
wo hume is kadar bhaye ki hum mohabbat kar bethe, kaha to tha wo bhi hume pyar hai, par ye to such hai ki hum apna chaino sukun gawan bethe. kiye jo milkar mohabbat mei vade wo ek pal mein bhula bethe. Uske vado par karke bharosa hum to apna sub kuch luta bethe. Aur kya btayu yaaro me to uski mohabbat mei is kadar hua pagal ki bina soche apne hatho se apni hasti mita betha. Khelna hi tha mere dil se to naam-e-ishq badnaam kyu kiya************************************************
Bardaasht karte karte ab sabr toot gaya, is sab kahasuni mein lagta hai kuch peeche choot gaya.. apni gairat tak kho chuke hain hum, na jaane zindagi abhi aur kya dhikhayegi rang.. sambhala tha apne jis vajood ko ta umr humne, aaj aaine mein bhi uski pehchaan hoti hai mushkil mein.************************************************
bhid me koi apna sa ham dhundte hain jaisee tapti dhup me shabnum ham dhundte hain dewangi me aksar unhe dhunda kiye hosh me aakar unhe kam dhundte hai ab tak jo muskurahat sikhata raha usi k hontho pe tbsum ab ham dhundte hai odhe rakha hai chehre pe hamne khushiyo ka saya? dhundne wale chehre pe matam dhundte hain ek wo hai jinhe gehre baithi hain khushiyan sari or ek ham hain…jinhe jamane ke sare gam dhundte hain….************************************************
Wafa ki rahon ko aasan samajh liya kantoon ki wadi ko gulistan samajh liya hum ise aashiqui kahen ya saadgi katil ko apna maharbaan samajh liya …….************************************************
saamne reh kar vo mere mujhko zakhm ese deta hai jaise usko pyaar karne ki saza vo mujhko deta hai jaane kitni baar kaha humko aaj bhi tumse pyaar hai badlunga na mai kabhi dil se karta vo iqraar hai hum bhi kitne naadan the jo yakeen uska kar liya kitna paak tha pyaar mera vo sara usi se kar liya? kaise keh du mai usko kuch,jo kabhi sirf mera imaan tha begunaah hai vo shayad in paak rishto se anjaan tha kuch bhi kehna nahi chahte us se mgr halaat mazbur kar dete hai na chah kar bhi vo har pal ik nya zakham mujhko dete hai na samajh sake vo mera pyaar na samjhi meri dosti khud ko jala kar bhi humne deni chaahi usko roshni kuch bhi ho is dil ko unse pyaar hai gum nahi dungi khushiya is baat ka iqraar hai……************************************************
Subscribe to:
Posts (Atom)