Toofan mein gam ke hum hanskar ke dikha denge Wo shamma hain paani mein bhee jalkar ke dikha denge Mohataaz nahi ulfat tere pyar ke jaamo par Ta-umr tera gussa peekar ke dikha denge
************************************************
Darbaar kya hum dar pe bhee jee sakate hain tu de jo to fir zakhm bhee see sakate hain Muddat se hain pyase karo kuchh to karam tum hum to tere gusse ko bhee pee sakate hain
************************************************
Unke deewano mein ginati jo na aa jaye to fir kahana Banda jeevan ka juaa haar jo jaye to fir kahana Main jo mitane ko chali hoon mujhe mitane de jahaa'n ab Mera maalik wo mujhe khud na bachaaye to kir kahana
************************************************
Sari Umar zindagi se door rahe Teri khushi ke liye tujhse door rahe Isse badhkar to wafa ki saja kya hogi Ke tere hokar bhi tujse door rahe
************************************************
Na Kisi Mukaam Ki Tammna Ab Na Kisi Theekane Ki Talash Jo Gham Zindagi Ko Maut De De Ek Aise Bahane Ki Talash Na Kisi Apne Ki Aarzoo Ab Na Kisi Begaane Ki Talash Main To Phool Hoon Tanhayion Ka Mujhe Bas Virane Ki Talash Jahan Door Tak Koi Na Ho Jahan Hawa Ka Pata Na Ho Mujhe Door Duniya Se Aise Hi Aashiyane Ki Talash Jo Tod De Dil Se Dhadkane Jo Chheen Le Jism Se Jaan Ko Jo Sanson Ko Meri Rok De Ab Aise Bahane Ki Talash
************************************************
Raat ke tukdo pe palna chod de shama ko kah de ki jalna chhod de mushkile to har husn ka irada hai kaise koi raha chalna chhod de
************************************************
Tamanna karne se hi puri hoti hai har tamanna Dil dhadakne se hi pura hota hai har sapna Koshish karne se har rah aasan ho jati hai Aur aage badne se har manzil mil jati hai
************************************************
Jis cheez pe tu hath rakhe wo cheez teri ho Aur jis se tu pyar kare woh takdeer meri ho
************************************************
ishq yadi karna hi hai to maalik se karo pyaar karna hai to maalik se karo ki ye jahaan muhhabat ke kabil nahi wafa ke kabil nahi yahan aate hai hazaro dastan-e-ishq lekar aur jaate hai maalik ki pannah me aansuon ki fariyaad lekar
************************************************
Me Chalta Raha Is Tanha Safar Me Aate Rahe gum Ke Tufaan Is Dagar Me Fir Bhi Na Dagmagaya Main Is Safar Me Aur Yuhi Chalta Raha Main Is Tanha Safar Me
0 comments:
Post a Comment