Friday, 12 June 2015

Motivation Poetary 4 Life Page 1

Motivation Poetary 4 Life Page 1



************************************************

Sawaar ho jaaye jab junoon sar par
ki kuch paanaa hai
reh jaayega phir kya duniyaa mein
jo haath nahi aanaa hai


************************************************

Zanzeerein mushkilon ki pighal jaayengi
bas aag iraadon ki jalne deeje
Taare zameen par aa ke haath milaayenge
khayaalon ki udaan ko bas zameen deeje
Chiraag inn raahon ke manzil tak le jaayenge
ik ik kar har kaanta jo alag kije
Suraj bhi din tera ik din chamkaayega
chaand ka aaj andhere mein mazza lije


************************************************

Waqt par, waqt hi badlega ye tera bura waqt
jo gar samjhe,to na raha hai na rahega sada ye bura waqt


************************************************

Saath bitaaye inn lamhon ki
yaad bahut aayegi
tanhaayi ke phir har pal mein
ik tasveer ubhar aayegi
khayaalon mein mere tufaan hoga
bichadta hua woh jahaan hoga
phir bhi kahin andheron mein
ik kiran si dikh jayegi
himmat haarna to gunaah hoga
jo ruk gaya woh fana hoga
chalte chalte phir in rahon par
manzil khud hi saamne aayegi


************************************************

Dil ki umangon ke pankh lagakar
khule akash me udna chahti hu
Lehron ki sawaari kar
sahil ko apna banana chahti hu
Aey Khuda! Himmat de mujhe ladne ki
itna aasan nahi mera safar kyoki
Mai patthar ko mom aur
mom ko patthar banana chahti hu


************************************************

Mehnat, lagan aur himmat se apni
Har mushkil se paar pana hai
Sitaaron ki zamin banana hai ek din
Mera khwabon me bahut bada aashiyana hai


************************************************

Kuch Lafzon Ko Tol-Mol Kar Bataaya Nahi Jaata
Har Ek Ko Apne Dil Ka Haal Sunaya Nahi Jaata
Hum Jo Likhte Hai Woh Humare Jazbaat Hai
Auron Ke Liye Isse Kahani Ka Roop Banaya Nahi Jaata


************************************************

Jao us raste pe, jispe khai na ho
Jao us raste pe, jispe khai na ho
Aur pyar karo to aisi ladki se
jiska koi bhai na ho


************************************************

Ai Khuda tu meri aakhri dua to sunle
is dard ko apna bana ke to dekh le
tujhe pata chalega Insan ke dil me kitna hai dard
bas tu ek bar Insan ban ke dekh le


************************************************

Jab dard puraana hota hai
Khud aap davaa ban jaata hai
Vyavahaar paraaya bhee unka
Fir ek adaa ban jaata hai
Na ghabaraa dil tanhaai se
Na sitam se na rusawaai se
Are mitate-mitate to banda
Ek roz Khuda ban jaata hai

************************************************

0 comments:

Post a Comment