In aankhonme aasoo aaye na hote, Agar tum pichhe mudkar muskuraye na hote, Tumhare jaane ke baad ye gam hota hai, Kaash tum zindagi me aayehi na hote !!!
************************************************
Zamaana gujar gaya haathon ko milaye hue, Muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, Din raat nikal gaye yaadon me khoye hue, Ab kab samane aaoge yaar muskurate hue?
************************************************
Baadal garaja magar barasaat nahi aayi, Dil dhadaka magar aawaj nahi aayi, Pura din gujarane ko hai dost, Kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
************************************************
Unako chaha bhi to izahaar na karana aaya, Kat gayi umar hame pyaar na karana aaya, Unhone maanga bhi agar kuchh to judaai maangi, Aur ham the ki hame inkaar bhi na karana aaya !!!
************************************************
Mera ikaraar tere inkaar se behatar hoga, Mera din bhi teri raat se behatar hoga, Yakeen nahi aata to dolise zankakar dekh lena.. Mera janaazaa teri baaraat se behatar hoga !!!
************************************************
Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi... Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi.. Tu bhi jaan le mere dost... Dosti dil me hoti hai.. Dikhaweme nahi...
************************************************
Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga, Apni zindagi per kitaab likhoonga, Aapki gardan (neck) to phoolon ki tehni, Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
************************************************
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye, Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye, Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki, Afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
************************************************
Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai Kuch tanha par kuch khaas guzri hai Na neend aayi na Khwaab koi Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai
************************************************
Aapne dushman se hi dil laga baithe Unki Saadgi se fareb kha baithe Pattharon se tha Apna rishtaa.. Phir bhi Shishe ka Ghar bana baithe
0 comments:
Post a Comment