Wednesday, 27 May 2015

Bewaffa Shayri - Sad/Hurt/Dard-Shayri Page 4

::Bewaffa Shayri :: Sad,Hurt,Dard-Shayri Page 4::

************************************************

Taras Gaye Thodi si Wafa ke Liye
kisi Se Pyar Nhi Karenge khuda ke Liye
Qki jab lagti Hai Ishq ki Adalat
Ham hi Chune Jate Hai Saja ke Liye




************************************************

Wo bewafa mera imthihan kya legi
Milegi nazar to nazar jhuka legi
Usse meri kabr par diya mat janalane dena yaro
Wo naadan hai apna hath jala legi


************************************************

Na jane kyu Dil me khayal ata hai
Na jane kyu Dil jala ke chala jata hai
Na jane hamse kya khata hui ki jo hamare Dil me ata hai
wohi Dil Tod ke chala jata hai


************************************************

kya hua jo wo bhul gaye hame
kya hua jo wo tadapte nahi hamari yaad me
kya hua jo kadr nahi hamari
na tere jaane ka dukh hai
na teri bewafai ka khumar hai
ham to ji lete hai khusi se
ke hamare dil me tere liye chahat beshumaar hai


************************************************

Pyar kisi se jitna kiya ruswai hi mili
Wafa chahe jitni bhi ki bewafai hi mili
Jitna bhi kisi ko apna bana kar dekha
Jab aankh khuli to tanhai hi mili


************************************************

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya
Hum To Samjhe The Ke Hum Bhool Gaye Hain Un Ko
Kya Hua Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya
Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai
Baar Baar Aise Sawalaat Pe Rona Aaya
Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Khatir Ay Dost
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya


************************************************

Tanha hu tanha rehne de
Is kadar phir mujhe pyaar na kar
In Zakhmo ko hara rehne de
marham laga ke inhe barbaad na kar
Teri Aankho ke zantar mantar se bahar nikalna hai mujhe
Yu nazare mila ke mujhe gumraah na kar
Teri meri yaado ka gulistaa ab murjha gaya hai
mujhe hichkiya dila ke ise gulzaar na kar
Barbaad hua hai mere dil ka shehar teri hi chahat me
Yu muskura ke isse aabaad na kar
Akela hi kata tha meri zindagi ka safar
Mere saath reh ke meri aadat kharaab na kar
Uske darbaar me haq ka sabko mila hai
Usse koi aisi waisi fariyaad na kar


************************************************

Ham to bewafa se bhi wafa nibhate hai
unhe sahara dekar khud besahara ho jaate hai
ab ye baat samajh me aayi hai
pyar ka duja naam hi bewafai hai
log to yun hi aap ko badnam kiya karte hai


************************************************

Unhe alvida keh rahe the
ham toh rote-rote
khuch khas nahi yaaro
unki kashti paar laga rahe the
ham apni kashti dubo ke


************************************************

Aap ke paas hamare liye waqt na tha shayad
masroof hogi kuch khas logo ke sath
jab aapko jamaane bhar ki khushiya di hamne
hame zindagi bhar ki tanhai mili
aapki kuch hasin yaado ke sath


************************************************

0 comments:

Post a Comment