Apse dil agar mila na hota Aaj apse dil ko gilaa na hota Apke dil me bhi wafaa hoti To judaai ka koi silsila na hota
************************************************
Jo palako me gam chhupaye hote hain Wo zamaane ke sataaye hote hain Jinko samjhaa sadaa se apnaa Wahi apne ant me paraaye hote hain
************************************************
Khushi mili ya gam humne kabhi chhupaye nahi Unke gam me zindagi bhar hum kabhi muskuraye nahi kaash wo sun paate gam bhari daastaan meri Hum rok na sake aur wo laut kar kabhi aaye nahi
************************************************
Dhool ko pairo ki parwaah na rahi Saanse bhi jism ki sadaa na rahi Mana ki dhadktaa hai dil unki yaad se Par us dil me humaare liye wafaa na rahi
************************************************
Teri meri soch me fark hai zalim Warna aaj itna bura anjaam na hota Duniya hume jhuk ke salaam karti Agar Humara pyaar nakaam na hota
************************************************
Jo rounga to palko pe nami reh jayegi zindagi bas naam ki zindagi reh jayegi ye nahi ki tum bin jee na paunga haa magar zindgi mein ek kami reh jayegi
************************************************
Labjo ne chhod diya hai bayan karna hal-e-dil ka fasana itne dhokhe khaye hai pyar mein ki dil ne bhi chhod diya hai dil mein kisi ko bsana
************************************************
Rulana hi tha hame to kyo hasaya tha hame bigadna tha hame to kyo banaya tha hame bhool gaya tha dil todne ki aadat hai tumhe ho gayi mujhse galti kyo hamdard banaya tha tumhe
************************************************
Zindagi ki kitab ke kuch panne hote hai kuch aapne hote hai kuch begane hote hai pyar se sanvar jati hai zindgi bas pyar se rishte nibhane hote hai
************************************************
Mohabbat karnewalo ko diwana keh diya Shamma pe jalnewalo ko parwana keh diya Mohabbat ko dafnaya paththar ke niche Aur logo ne uska naam Tajmahal rakh diya
0 comments:
Post a Comment