Hamari Sonch Ke Parwaz Ko Roke Nahin Koi Naye Aflak Pe Pehra Bitha Kar Kuch Nahi Milta Koi ik Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta hai Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khwab Ke Jhalar Samandar Ke Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta Ye Acha Hai ke Aapas Ke Bharam Naa Totne Payein Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta Faqat Tumse Hi Karta Hoon Main Sari Raaz Ki Batein Har Ik Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta Amal Ki Sookhti Rag Mein Zara Sa Khoon Shamil Kar Mere Humdam Faqat Batein Banakar Kuch Nahi Milta
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Apne sapano ko hakikat ki jamee dena in pathrai aanko ko thodi si nami dena dena karm ko dhan se adhik pradhaanta dushto ko dena dand aur apno ki mitana agyaanta
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kaante milte hain phoolon ki tlaash mein gham milte hain khushiyon ki talaash mein intezaar milta hai chahat ki aas mein Par ye rah-e-guzar to bas chalta hi jaata hai Kaarawaan mil nahi jaata apni manzil se
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Muddat huye nazara-e-toofaan kiye huye Sahil supurd-e-khatra-e-toofaan kiye huye Bawar nahin tu dekh ke zinda hai kis tarah Basti ghariq-e-moja-e-toofaan kiye huye Tinke se beh gaye yahan jitne the zorwar Khud ko harif-e-ghamzae toofaan kiye huye Ashk-e-rawaa ke josh se basti ke deedawar Baithe hai khud se wada-e-toofaan kiye huye Jo bach gaye the dhoop mein jalne ke bawajood Baithe hai sir pe say-e-toofaan kiye huye Arsa guzar gaya mujhe apne shor ko Mehv-e-sada-e-naghma-e-toofaan kiye huye
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Uthati Lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti hauslon ke aage koi deewar nahin hoti jalte huye ik chiraag ne aandhiyon se kaha himmat hai to bujha ke dikha jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai har pehlu zindagi ka imtihan hota hai darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
mohabbat na samajh hoti hai, samjhana zaroori hai jo dil mein hai use aankhon se kehalwana zaroori hai usoolon par jo aanch aaye to takrana zaroori hai jo zinda hai to fir zinda nazar aana bhi zaroori hai mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaroori hai bohot bebaak aankhon mein talluq tik nahin sakta mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaroori hai saleeqa hi nahi shayad use mehsoos karne ka jo kehte hai gar khuda hai to nazar aana bhi zaroori hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
KHWABON KO HAKIKAT ME BADAL KAR TO DEKH PINJRE KI SALAAKHON ME HAI UDNE KI RAH BHI GULAAMI KO BAGAAWAT ME BADAL KAR TO DEKH KHUD-B-KHUD HAL HONGI ZINDGI KI MUSHKILEN BAS KHAMOSHI KO SAWALON ME BADAL KAR TO DEKH CHATTAANE BHI TUTENGI INHI HATHON KE BHAROSE APNI AARZOO KO IBAADAT ME BADAL KAR TO DEKH ANDHERI RAAHON ME CHAMKEGI SURAJ KI ROSHNI ANGOOTHE KO DASTAKHAT ME BADAL KAR TO DEKH HONSLA KAM NAA HOGAA TERAA TUFAAN KE SAMNE MEHNAT KO IBAADAT ME BADAL KAR TO DEKH KADMON KE TALE KHUD HONGI MANJILEN TERI MERI BAATON KO NASIHAT ME BADAL KAR TO DEKH BASS EK BAAR ZINDAGI ME PYAAR KARKE DEKH PYAAR KI PAKIZGI KO IBAADAT BANA KE DEKH
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hathon ki lakiron main kismat hoti hai, Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai, Bikharta to har koi hai dard me, Magar gum bhulana insaan ki jarurat hoti hai.
0 comments:
Post a Comment