Nigaho mein manzil thi gire aur gir kar sambhalte rahe hawao ne bahut koshish ki magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
har kadam par nit-naye saanchein mein dhal jate hai log dekhte hi dekhte badal jate hai log kis liye kijiye kisi ghum-ghasta jannat ki talaash jab ke mitti ke khilone se bahal jate hai log kitni sada dil hai ab bhi sunke awaaz-e-jaras pesh-o-paas se bekhabar se nikal jate hai log unki dosti ka ab bhi dam bharte hai aap thokrein khakar tou suna hai sambhal jate hai log
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
agar aankhein teri zinda hai to inn mein khwaab bhi zinda rakh mayoosi le jati hai kufr ki janib hardam ummeed-e-fatah rakh ragon mein jab khoon rawan hai ab tak to koshishein apni rawan rakh na ummeed le jati hai nakaami ke janib umangein apni jawan rakh.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aapki Muskaan Kabhi Hontho Se Na Chhute Duniya Me Aapse Koi Kabhi Na Ruthe Meherban Ho Khuda Itna Aap Par Ke Aasman Ke Taare Bhi Aapki Marzi Se Tute
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Phool Bankar Muskurana Zindagi Hai Muskurake Gum Bhulana Zindagi Hai Zindagi Aise Matt Jiyo Ke Koi Fariyaad Kar Jaaye Zindagi Aise Jiyo Ke Koi Phir Yaad Kar Jaaye
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye Har Lamha Teri Taqdir Sawarti nazar Aye Bin Mange Tujhe Mile Tu Jo Chahe Dua Khud Tere Hathon Ko Tarasti Nazar Aye
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
saahil jo samajh le moujon ko kya khouf use tufaano se mar kar hi to jeena hai jeena hai yeh sikh liya parvaano se
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Manzil unhi ko milti hai Jinke sapno me jaan hoti hai Pankh se kuchh nahi hota Hauslon se udaan hoti hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
kuchh batein thi uski aisi kuchh main bhi thi behki behki kya janu kya ishaara ho gaya ke kuchh palon mein hi dil tumhara ho gaya
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
KAAMYABI KE KUCH ASUL HOTE HAI BUJDILON KE NAKHRE TO FIJUL HOTE HAI RAKHTE NHI HAI JO PAWAND KHUD KO WAQT KI RAFTAAR KE SATH WO MAR MIT KAR KE RAAKH DHOOL HOTE HAI
0 comments:
Post a Comment